Friday, February 19, 2016

Freedom 251 smart phone ke bare m

Hello frands aj m apko bataungi ki india m smart phone banane wali company ringingbell sirf 251 Me mobile phone bech rahi hai online....

india ki apni mobile manufacturing company Ringing Bell ne Bharat ka sabse sasta smartphone Freedom 251launch kiya hai. Mobile phone ko Ab tak ka cheapest phone bataya ja raha hai. Iski keemat mantra 251 indian rupee rakha gaya hai. Pahle iski keemat 499 rupaye Rakhi gayi thi par jab Wednesday ko ise launchkiya gaya tab advertisements me iski keemat kewal 251 rupaye batayigayi. Chaliye price bhale hi 499 ho tab bhi isse sasta smartphone milnaimpossible hai. Make in India ke kadamo par Chalane wali company akash tablet ki yaad dilati hai. Jisneki India me tablet ke market me ek revolution diya tha.Datawind ke nakshe  kadam par chalne wali Ye company mobile ke bazar me ek Naya aayam stapith kar sakti hai. Agar 499 rupaye  bhi iski price Rakhi jaye to aap is price me kewal China market ke manufactured phone hi khareed payenge jisme kewal simple features hi ho sakte hain. Lekin bell Dwara launch kiye Gaye is gadget me 6000 se 8000 rupaye wale features bataye ja rahe hain.
Mobile ko lene ke liye yaha click kre

Sunday, February 7, 2016

Confidense 100% Badhaye khud pe

Hello frands m apko bataungi ki Kuch logo me confidence ki bahut kami rehti he, usi karan unko talent hone ke bavjud bhi wo apna talent nahi dikha pate.

Koi confidence ke abhav ke karan stage par bolne se darta hai. Confidence ke kami ke karan koi ladki se bat karne ki himmat nahi juta pata. Padhiye ye kuch khas tips aur impress kare logoko apne confidence se.

Chaliye Jante hai ki Confidence Kaise Badhaye asaan bhasha me.Apne nakaratmak vicaro ko pahchane Apne nakaratmak vichar hi apne confidence ya atmavishwas ko kam karte hai. In nakartmak vicharo me jyada iss prakar ke vichar aate hai, “Mai aisa nahi kar sakta hu ya Mai aisa nahi kar paunga”, “Mai kuch bhi nahi hu”, “Agar mai aisa karta hu to ye sahi hoga ya galat”, “log kya kahenge, kya sochenge, ye kaise kare”.Aise alag alag prakar ke maan mai bahut sawal aate hai, jis ke karan khud ka atmavishwas kam ho jata hai.

Ye hamesha yad rakho jo talent aapme hai, dusre kisi me nahi. Aap khudko mahatwa dena start kare. Baki duniya apne aap importance dene lagegi.

Khud me badlav lana bohot jaruri hai.Sakaratmak vichar matlab positive thoughts jo ki bahut important hai, usse aapki life badal jayegi. Din ki shurwat sakartmak vicharo se shuru kare. Isse hamara 90% atmavishwas badh jata hai. Pahale to nakaratmak vicharo ko sakartmak vicharo me badale, jaise ki “Mai ye kar sakta hu”, “Sab log meri baat sunenge”, “Aaj ka din mera bahut aacha jayega”, aisi sakaratmak vicharo se agar aap din ki shurwat karte ho to pura din aacha jata hai.

Ek din ye prayog kar ke dekhiye, aap khud hi man jaoge, ki is me kya jadu hai.

Sakaratmak network banaye rakhe Apne sathi, frands pariwar me apni taraf se hamesa vichara ko unke samne rakhe, isse unke sath aacha communicton badh jata hai aur sakartmak vicharo ki bhi adala badali hoti hai.Apne sathi ya mitra pariwar mai kai nakaratma vicharo wale logo se thoda dur rahe queki unka sangat se apne sakartmak vicharo pe bura asar padata hai, issliye hamesa sakartmak vicharke mitra pariwar ya sathi ke hi network me rahe.

Apne pratibha ko pahachane Har koi aacha hai, isliye apne undar ke pratibha ko jane. Yah sab apne kala(ART), sangit(MUSIC), lekhan(writing), nrutya(danshing) ke bare mai hai. Jis karan ham apne hi undar ke pratibha ko aachhi tarah jan kar apne pratibha ko jankar apna atmavishwas badha sakte hai.

Apne aap par garva kare Aap apni kaushalya aur pratibha par garva mahasus karna chahiye. Iss karan se aap apna atmaviswas badha sakte hai. Khud ki  pratibha ko janiye. Jaise ki, “me iss tanav ka puri tarah samna kar sakta hu”, aise sakaratmak vicharo se aur khudpar garva karne se apna atmaviswas badh jata hai.

Muskuraye aur aaine mai dekhne se hamara 100% atmaviswas badh jata hai.Muskura ke aaina mai dekhne se hame pata chalta hai ki hamare sakartmak vicharo se hamara atmavishwas badh gaya hai.

Issi karan hame hamare chehare par khushi dikhti hai aur hamara atmvishwas bad jata hai.

Sabse mahatwapurn baat “Khud par bharosarakhe” isse hamara Atmavishwas badh kar hame aachi aur khushi bhari jindagi deta hai.

Aapko ye article kaise laga niche comment me likhiye.