Saturday, January 16, 2016

Log marte q hai?

Hello frands meri dusri post hai y
mere dimag m Yeh sawaal aaj achanak  ghum raha hai. Na jane kyu hamara man yeh sawaal ke utar dhudne ke liye machal raha hai..Aisi kaunsi paristithi hoti hai jo insaan ko aisi soch dimag mein panapne deti hai. Jo samadhan sochne ki jagah apne aap ka anth dhundti hai.Aisi bhi kaunsi paristithi hui jo insaan ko vichar vimarsh nahi karne deti hai. Deti hai toh bas apno ko chodne ka sujhao deti hai.Logo ko kehte suna hai ki unki koi majboori hoti hai. Aisi bhi kya majboori hoti hai jo apni maa bap bhai bhen frands ko akele chodne k liye majboor karti hai.Pata nai kyu logo ko unki samasya ka smadhan krne ki himmat nhi milti hai q log galat rasta chunte hai. logo ko apni life ki Kuch samsyao ka dhairya band kar himmat se hal dunna cahiye na ki mot ke raste par khda kr dena cahiye. suraj ko bhi subha ka intezaarkarna padta hai..Kehte hai khush nasib hote hai vo jinhe zindagi pradan hoti hai. Aur aise bhi log hote hai jahan ek maa ki kokh bhi unhe panha nai deti hai.Man ka kya hai yuhin uttar ke liye machalta rahega. Zindagi ka (ijjat)aadar kiya karo. Paristithi toh yuhin badalti rahegi. Zindagi hass kar bitao yaaron.
problem ka thande dimag se soch ke hal nikalna sikho.problem to jindgi hai jab tak ati rahengi lekin jindagi ek bar milti hai duara nhi milegi pareshani ka hal sirf himmat hai.himmat hai logo m to koi ese apni jan nhi lutayega.
m bhi kisi s pyar krti thi lekin pyar m susses nhi ho saki mene bhi apni jan dene ki kosis ki thi really frands bt m ab pyar vyar nhi krti sirf enjoy krti hu life ka.

No comments:

Post a Comment